suunā suunā sā hai kyuuñ aaj jahān-e-urdu
uTh gayā kahte haiñ ik pīr-e-muġhān-e-urdu
jis ko DhūñDeñge sadā tishna-labān-e-tahqīq
ro.eñge barsoñ jise dīda-varān-e-urdu
rāh-rau rah-guzar-o-rahbar-e-urdu-e-qadīm
varna miltā thā kise nām-o-nishān-e-urdu
chhin ga.ī ahl-e-vatan ek matā-e-tahqīq
ai dakan luT ga.ī phir terī dukān-e-urdu
āḳhirī tiir bhī tarkash kā huā rāh-e-sipār
TuuT kar rah ga.ī lo aaj kamān-e-urdu
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ilm
kis ke sar jā.egā ab bār-e-girān-e-urdu