aaj bhī tere liye sozish-e-ġham kam to nahīñ
zaḳhm-e-dil par tire hamdam koī marham to nahīñ
tū jo phūloñ kī tarah phuul kar itrātā hai
dekhnā yaar tire jaam meñ shabnam to nahīñ
hind kī ye shab-e-mahtāb bahut ḳhuub sahī
qalb-e-anjum kā magar dard abhī kam to nahīñ
chāñdnī-rāt ke va.ade bhī vafā hote haiñ
ai ġham-e-dil ye sabab lā.eq-e-mātam to nahīñ
tishna-kāmī mujhe majbūr to kartī hai magar
tere sāġhar se jhijaktā huuñ kahīñ ham to nahīñ
tū ne āsūdagī-e-shauq se khāyā hai fareb
qalb-e-shā.ir meñ jo dhaḌkan hai vo maddham to nahīñ
aaj 'mas.ūd' kī palkoñ pe diye haiñ raushan
sāthiyo un ke sitāroñ se magar kam to nahīñ