davā se kuchh na huā aur duā se kuchh na milā
bashar ne kuchh na diyā aur ḳhudā se kuchh na milā
zavāl merā muqaddar banā ke chhoḌ diyā
mujhe ḳhyāl-o-hadīs-e-baqā se kuchh na milā
maiñ dard-o-dāġh-e-yatīmī meñ yuuñ rahā mahsūr
pidar se kuchh na milā māmtā se kuchh na milā
jahān-e-ilm-o-hunar meñ to sarfarāz rahā
dayār-e-shauq meñ merī vafā se kuchh na milā
maiñ apne aap meñ jhāñkā to ye sadā aa.ī
ḳhudī se kuchh na milā aur anā se kuchh na milā
kisī ne dīda-e-bīnā kī raushnī le lī
kahūñ maiñ kis se tirī is adā se kuchh na milā
maiñ ḳhālī haath chalā aa rahā huuñ terī taraf
tujhe batāne ki terī atā se kuchh na milā
tire jahān se ḳhāmosh chal diyā 'mas.ūd'
navā-e-sher ko is be-navā se kuchh na milā