Masud Husain Khan

ek kahani

Masud Husain Khan

Qaimganj, Uttar pradesh, India

1919-2010
raat kal fazāoñ meñ terī hī kahānī thī
ham bhī sunñe vaale the dil kī pāsbānī thī
āsmāñ se aamad thī gum-shuda ḳhayāloñ kī
jis qadar tasavvur thā itnī shādmānī thī
duur saarī duniyā se ik nagar basāyā thā
us kā ek raajā thā us kī ek raanī thī
zulf-o-ruḳh kī bāteñ thiiñ din thā aur rāteñ thiiñ
sub.h kitnī rañgīñ thī shaam kyā suhānī thī
yaad haiñ vo din ab tak jab hasīn rātoñ meñ
terī gungunāhaT par merī naġhma-ḳhvānī thī
tere ik tabassum par vaqt bhī Thahar jaatā
is meñ kab tarannum thā is meñ kab ravānī thī
āñsuoñ se jiitā thā gauhar-e-mohabbat ko
terī kāmrānī bhī kaisī kāmrānī thī
kitnī garm-joshī thī kitnī girya-o-zārī
kitnī sard-mehrī thī kitnī sargirānī thī
ye mirī ḳhudā.ī thī yā tirī ḳhudā jaane
merī lan-tarānī par terī be-zabānī thī
maiñ ne tujh ko kab samjhā maiñ ne tujh ko kab paayā
maiñ zamīñ kā banda tū ruuh āsmānī thī
Top Urdushayar.com