Nazeer Akbarabadi

rakhi

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
chalī aatī hai ab to har kahīñ bāzār kī rākhī
sunahrī sabz resham zard aur gulnār kī rākhī
ayaañ hai ab to rākhī bhī chaman bhī gul bhī shabnam bhī
jhamak jaatā hai motī aur jhalak jaatā hai resham bhī
machī hai har taraf kyā kyā salonoñ kī bahār ab to
har ik gul-rū phire hai rākhī bāñdhe haath meñ ḳhush ho
huī hai zeb-o-zīnat aur ḳhūbāñ ko to rākhī se
va-lekin tum se ai jaañ aur kuchh rākhī ke gul phūle
adā se haath uThte haiñ gul-e-rākhī jo hilte haiñ
kaleje dekhne vāloñ ke kyā kyā aah chhilte haiñ
phireñ haiñ rākhiyāñ bāñdhe jo har dam husn ke taare
to un kī rākhiyoñ ko dekh ai jaañ chaav ke maare
Top Urdushayar.com