jab phāgun rañg jhamakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
aur daf ke shor khaḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
mahbūb nashe meñ chakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
ho naach rañgīlī pariyoñ kā baiThe hoñ gul-rū rañg-bhare
kuchh bhīgī tāneñ holī kī kuchh nāz-o-adā ke Dhañg-bhare
kuchh ghuñghrū taal chhanakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
sāmān jahāñ tak hotā hai us ishrat ke matlūboñ kā
vo sab sāmān muhayyā ho aur baaġh khilā ho ḳhvāboñ kā
kapḌoñ par rañg chhiḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
gulzār khile hoñ pariyoñ ke aur majlis kī tayyārī ho
kapḌoñ par rañg ke chhīñToñ se ḳhush-rañg ajab gul-kārī ho
sīnoñ se rañg Dhalakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
us rañg-rañgīlī majlis meñ vo ranDī nāchne vaalī ho
muñh jis kā chāñd kā TukḌā ho aur aañkh bhī mai ke pyālī ho
bhaḌve bhii, bhaḌvā bakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
aur ek taraf dil lene ko mahbūb bhavayyoñ ke laḌke
har aan ghaḌī gat bharte hoñ kuchh ghaT ghaT ke kuchh baḌh baḌh ke
kuchh kāfir nain maTakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
ye dhuum machī ho holī kī aur aish maze kā jhakkaḌ ho
us khīñchā-khīñch ghasīTī par bhaḌve ranDī kā phakkaḌ ho
jab aise aish mahakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī