Nazeer Akbarabadi

holi

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
aa dhamke aish o tarab kyā kyā jab husn dikhāyā holī ne
har aan ḳhushī kī dhuum huī yuuñ lutf jatāyā holī ne
bāzār galī aur kūchoñ meñ ġhul-shor machāyā holī ne

yā svāñg kahūñ yā rañg kahūñ yā husn batā.ūñ holī kā
sab abran tan par jhamak rahā aur kesar kā māthe Tiikā
dil shaad kiyā aur moh liyā ye, jauban paayā holī ne

kuchh table khaTke taal baje kuchh Dholak aur murdañg bajī
kuchh jhaḌpeñ biin rabāboñ kī kuchh sārañgī aur chañg bajī
hai har dam nāchne gaane kā ye taar bañdhāyā holī ne

har jāgah thaal gulāloñ se, ḳhush-rañgat kī gul-kārī hai
aur Dher abīroñ ke lāge, so ishrat kī tayyārī hai
ye ruup jhamaktā dikhlāyā ye rañg dikhāyā holī ne

har aan ḳhushī se aapas meñ sab hañs hañs rañg chhiḌakte haiñ
ruḳhsār gulāloñ se gul-gūñ, kapḌoñ se rañg Tapakte haiñ
ye taur ye naqshā ishrat kā har aan banāyā holī ne
Top Urdushayar.com