Bilqis Zafirul Hasan

kashif miyan bahadur

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
bhūtoñ kī ik havelī meñ kāshif miyāñ ga.e
aisā laḌe ki bhūtoñ ke chhakke chhuḌā diye
ik bhuut kuud phāñd ke chimanī pe chaḌh gayā
aur dūsrā dahāḌ ke chhat phāḌne lagā
sab se baḌā jo thā vahīñ dham se luḌhak rahā
kāshif ke ek ghūñse meñ chiiñ bolnā paḌā
aur chhoTe-moTe bhūtoñ kā kyā haal pūchhnā
chhupne kī kone kone meñ vo DhūñDte the jā
koī chhupā thā TuuTe hue taḳht ke tale
koī pukārtā thā bachāo ki ham mare
sab moTī chhoTī bhūtniyāñ chīḳhne lagīñ
baal apne noch noch ke muñh pīTne lagīñ
chhoTe-baḌe bahut the vahāñ bhuut bhūtnī
kāshif miyāñ ke aage kisī kī nahīñ chalī
sab haath bāñdh bāñdh ke rote pukārte
kāshif miyāñ se kahne lage kījiye muaaf
ham bhuul ke bhī ab na havelī meñ ā.eñge
aa bhī ga.e to aap se kab bachne pā.eñge
lekin baḌe ġhazab kī tabhī baat ye huī
is shor aur sharābe se aañkh un kī khul ga.ī
tab ye patā chalā unheñ ye sab to ḳhvāb thā
jo bhī ho ḳhvāb un kā baḌā lā-javāb thā
Top Urdushayar.com