Bilqis Zafirul Hasan

bablu

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
kis kī pakaḌ meñ aa.eñ chaltī havā haiñ bablū
āñdhī kī tarah dekho ye jā vo jā haiñ bablū
ik pal jo dekhiye to dīvār par chaḌhe haiñ
jhapkī palak to dekho dauḌeñ lagā rahe haiñ
rippo ko maarī Takkar sīḌhī pe chaḌhte chaḌhte
mammy ke haath meñ thā jo gir gayā vo taḌ se
paapā ne cycle to bilkul na.ī dilā.ī
ab kyā hai is kā huliya kaise huā ye bhaa.ī
haindle hai ab na pedal nā seat Thiik se hai
ye to batāo koī is ko chalā.e kaise
aur ab bigaḌ rahe haiñ kyā cycle dilā.ī
ik do mahīne bhī to kambaḳht chal na paa.ī
dīvār kī ghaḌī kā TuuTā paḌā hai ghanTa
is par bhī dast-e-shafqat shāyad unhoñ ne pherā
bigḌā thā fan kuchh kuchh saarā bigāḌ Daalā
pūchhā to bole maiñ to is ko banā rahā thā
kuchh boliye to kaise mazlūm se khaḌe haiñ
āñkheñ haiñ DabDabā.ī lab kapkapā rahe haiñ
aise ko kahiye koī DāñTe to kaise DāñTe
sāmān ghar kā kyā hai in par to jaan sadqe
Top Urdushayar.com