Bilqis Zafirul Hasan

ek akela bachcha

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
ghar kā ek akelā bachcha
nanhā-munnā taasī raaja
apne aap hī baiThā khele
aap hī hañs le aap hī role
paapā bhī haiñ aur mammy bhī
lekin unheñ nahīñ hai chhuTTī
us ke uThne se pahle hī
paapā jaate haiñ taḌke hī
aur mammy us ko nahlā ke
khānā-dānā use khilā ke
apne kaam meñ juT jaatī haiñ
us ke haath kahāñ aatī haiñ
ab vo aur bas us ke khilaune
tanhā tanhā kitnā khele
us kī dost huā kartī thiiñ
kuchh din pahle ik daadī thiiñ
jaane kahāñ jā baiTh ga.ī haiñ
pote se kyoñ aiñTh ga.ī haiñ
dil hī dil meñ nanhā taasī
kartā rahtā daadī daadī
ik din paapā jaldī aa ke
shopping karne ko jaate the
bhāgtā aayā taasī bolā
mujh ko bhī kuchh chāhiye paapā
paapā bole kyā kuchh bolo
kahne lagā ik daadī lā do
Top Urdushayar.com