Azeemuddin Ahmad

hijr

Azeemuddin Ahmad

Gaya, Bihar, India

1882
tū paas thā jī ko chain kuchh thā
terā jaanā ki aafat aa.ī
nazroñ se chhupā jo terā chehrā
mere sar par qayāmat aa.ī
baaqī thoḌā sā din thā lekin
merī āñkhoñ meñ thā añdherā
ai zulm ke aur sitam ke baanī
ai shoḳh jafā-shi.ār ayyār
ai barq-misāl ai trahdār
ai māh-jabīñ ġhazāl-sīrat
ghar-bhar sotā hai ek betāb
aaheñ bhar kar taḌap rahā hai
hargiz hargiz mujhe mayassar
aa.ī koī ghaḌī na rāhat
dil ko hai saḳht be-qarārī
jiine ke paḌ ga.e haiñ laale
mujh ko tanhā.ī go satā.e
tujh ko aish-o-tarab ho maimūñ
tujh se chhuTnā hai saḳht mushkil
jab tak hai hāfize meñ qudrat
Top Urdushayar.com