Owais Ahmad Dauran

eden garden

Owais Ahmad Dauran

1938
ye eden garden hamdam nigāh-o-dil kī jannat hai
yahāñ havvā kī rañgīñ beTiyāñ har shaam aatī haiñ
suhāgan hai to us kī maañg meñ jhūmar chamaktā hai
kuñvārī hai to us ke jism se ḳhushbū nikaltī hai
kahīñ joḌe meñ koī phuul gūñdhe koī laT khole
fazā-e-sāhil-e-huglī meñ rañg-o-nūr bhartī hai
sunahrī bāliyāñ shoḳhī se ruḳhsāroñ ko taktī haiñ
khanaktī chūḌiyāñ gītoñ kī mīThī dhun sunātī haiñ
ye bañgālī hasīnāoñ kī jalva-gāh hai hamdam
yahāñ pīr-o-javāñ aa kar matā-e-dil luTāte haiñ
Thahar ai jazba-e-be-tāb isī rañgīn duniyā meñ
laboñ kī surḳh mai se dil ke ḳhālī jaam ko bhar leñ
Top Urdushayar.com