Owais Ahmad Dauran

tah-e-KHanjar

Owais Ahmad Dauran

1938
aqallīyat kahīñ kī ho tah-e-ḳhanjar hī rahtī hai
halākat-ḳhez hāthoñ ke hazāroñ jabr sahtī hai
na koī ḳhvāb āñkhoñ meñ na dil meñ aasrā koī
na jū-e-ḳhūñ se bachne kā nazar meñ rāsta koī
ḳhud apnī hī fazā meñ ḳhauf kā ehsās har lamha
adam-mahfūziyat kā duur tak ġhamnāk sannāTā
haqārat kī nazar nafrat kī chiñgārī ta.āqub meñ
musībat aage aage zillat-o-ḳhvārī ta.āqub meñ
zabāñ ma.atūb tahzīb-o-saqāfat daar kī zad meñ
ghar āñgan izzat-o-nāmūs kul talvār kī zad meñ
aqallīyat jahāñ bhī hai yahī us kā muqaddar hai
ye zaḳhmī be-amāñ maḳhlūq har sū zer-e-ḳhanjar hai
Top Urdushayar.com