uḌtī desh meñ gard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
desh hai apnā mānte ho nā
dukh jitne haiñ jānte ho nā
kyā tum se har fard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
chunā tumheñ hai kaheñge qisse
desh dikhe jab hisse hisse
kahe na koī mard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
baḌe bhaa.ī ho sabaq to sīkho
chāroñ or haiñ chhoTe dekho
are kyuuñ chehra zard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
hosh meñ aao vaqt abhī hai
rahbar ho aur samay yahī hai
dharm kabhī bedard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
aaj nahīñ to kal samjhoge
luT jāoge tab samjhoge
jaago havā abhī sard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai