Ozair Rahman

ek guzarish

Ozair Rahman

Bhagalpur, Bihar, India

1949
shikasta huuñ magar daulat bhī hai hāsil huī ham ko
guzāre saath jo pal qadr us kī ho nahīñ kis ko
yahī yādeñ haiñ le jā.eñgī ham ko āḳhrī dam tak
na koī ham-safar hogā na jā.egā koī ghar tak
hai khelī pyaar kī baazī na jiitā maiñ na tum haarī
lagā.egī ye duniyā zarb apne dam se hī kaarī
mile ham ittifāqan the magar rāheñ lagīñ yaksāñ
kabhī dushvāriyāñ apnī kabhī manzil rahī pinhāñ
ye hāthoñ kī lakīreñ ba.az ā.eñgī kahāñ dilbar
inheñ to bair hai ham se karam-farmā raqīboñ par
mujhe hai ye yaqīñ pāoge tum apnī na.ī manzil
maiñ taḌpūñ yā karūñ girya nahīñ hogā koī hāsil
Top Urdushayar.com