kabhī in chiḌiyoñ se bhī pūchhnā hai
tumhārā ghar kahāñ hai
hai kab pahchān rishtoñ kī
hai kab pahchān jag.hoñ kī
abhī bhī saare kamre haiñ
abhī bhī saare bachche haiñ
qatāroñ meñ haiñ kamre jaise the vo
clāssoñ meñ haiñ bachche jaise the vo
sunā.ī degī gar jā.ūñgā ḳhud āvāz apnī
vahāñ bachche nahīñ hoñge haañ bas āvāzeñ lauTeñgī
baras biite haiñ tab ye jaan paaya dard kyā hai
hamārī beTiyāñ kyuuñ yuuñ taḌaptī haiñ
kahāvat hai makīñ se hī makāñ hai
ġhalat maiñ kyuuñ kahūñ hogā
mujhe apnī hī kaḌvāhaT se hai
do chaar honā ab