vaa.e nādāriyāñ haa.e majbūriyāñ
rasm-o-ādāb ke bas meñ hai zindagī
jaise shādāb sī jhiil meñ ik kañval
chaḌhte sūraj kī tezī se kumlā.e hai
har sahelī tabassum-ba-lab hai magar
tum hī maġhmūm ho tum hī ḳhāmosh ho
ḳhāmushī sad zabān-o-bayāñ kī tarah
apnī duniyā ke dukh dard kahtī huī
vo udāsī ki hūroñ ko afsos ho
hoñ farishte bhī aisī fazā meñ ḳhajil