Rashid Anwar Rashid

teri aawaz

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971

raah meñ chalte hue bhiiḌ se uktā.e hue

terī āvāz sunī maiñ ne ka.ī saal ke ba.ad

soch kar zehn pareshān rahā der talak

shahr ke shor-e-ḳhurāfāt ke hañgāmoñ meñ

terī āvāz jo aa.ī to kahāñ se aa.ī

phir kisī vahm ke narġhe meñ to maiñ aa na gayā

terī āvāz sargam kahīñ dhokā to nahīñ

der tak zehn savālāt meñ uljhā rahā

koī ummīd na jis baat thī kaise huī

kaise pathrā.ī huī aañkh meñ aañsū aa.e

kaise phir bhūlā huā qissa tujhe yaad aayā

raah meñ chalte hue bhiiḌ se uktā.e hue

terī āvāz sunī maiñ ne ka.ī saal ke ba.ad

terī āvāz dhokā hai agar vahm mirā

mujh ko rahnā hai isī vahm sarshārī meñ

terī āvāz ke dhoke se ye mahsūs huā

koī ḳhvāhish ho tamannā ho bahaktī hai zarūr

ab bhī siine meñ koī chiiz dhaḌaktī hai zarūr

Top Urdushayar.com