mere har lafz meñ hai kausar-o-gañgā kā lahū
adab-o-fan hī haiñ bikhre hue mere gesū
ḳhūn-e-dil se dur-e-shahvār kiye haiñ paidā
maiñ ne har ahd maiñ fankār kiye haiñ paidā
merī zulfoñ ko 'valī' ne bhī sañvārā thā kabhī
mujh ko 'hālī' ne mohabbat se pukārā thā kabhī
'zauq'-o-'momin' ne mirā saaz bajāyā barsoñ
'dāġh' ne apne kaleje se lagāyā barsoñ
yaad to hoñge zamāne ko vo 'inshā'-o-'nazīr'
yaad to hoñge zamāne ko vo 'mīr' aur 'amīr'
mujh ko 'chakbast' ne 'jauhar' ne 'sharar' ne paalā
maiñ huuñ jis ko ki shahanshāh-'zafar' ne paalā
mere āġhosh meñ pinhāñ hai matā-e-'sā.il'
ab bhī 'sīmāb' se raqsinda hai merī mahfil
apne hāthoñ meñ bahārāñ kā uThā.e hue saaz
aaj bhī hai mirī mahfil meñ balā-nosh 'majāz'
'asġhar'-o-'akbar'-o-'ahsan' kī bhī dam-sāz huuñ maiñ
jis ko 'tulsī' ne bajāyā thā vahī saaz huuñ maiñ
falsafa mere sahīfe meñ hai hikmat bhī hai
aarzū bhī mire āġhosh meñ hasrat bhī hai
ab bhī abbās kā parcham hai mirī mahfil meñ
jāda-paimā hai 'niyāz' ab bhī mirī manzil meñ
ab bhī zau-rezī-e-'aḳhtar' hai mirī bātoñ meñ
aaj bhī kirshn kī murlī hai mire hāthoñ meñ
aaj be-kaif huuñ be-rañg huuñ behāl huuñ maiñ
ḳhud yagānoñ kī nigāhoñ se bhī pāmāl huuñ maiñ
mere āġhosh meñ 'ġhālib' bhī haiñ 'sarshār' bhī haiñ
is na.e daur ke āġhāz meñ 'iz.hār' bhī haiñ