aah kyā kyā āj-kal rañgīniyāñ dehlī meñ haiñ
rāstoñ par chaltī-phirtī bijliyāñ dehlī meñ haiñ
ḳhuld kī hūreñ bhī sharmātī haiñ jin ke husn se
āj-kal un mah-vashoñ ke kārvāñ dehlī meñ haiñ
halke-phulke āñchaloñ meñ naujavānī kā ubhār
raqs karte gungunāte gulistāñ dehlī meñ haiñ
aadmī kyā haiñ farishte bhī jinheñ sajda kareñ
in dinoñ raqsinda vo sarv-e-ravāñ dehlī meñ haiñ
mai-kashoñ ko nashsha ho jaatā hai be-jām-o-subū
husn kī vo dil-fareb añgḌā.iyāñ dehlī meñ haiñ
koī gul hai koī ġhuncha hai gulistāñ hai koī
har taraf gul-bāriyāñ gul-kāriyāñ dehlī meñ haiñ
koī mai-ḳhāna koī saaqī koī jām-e-sharāb
har taraf bad-mastiyāñ be-hoshiyāñ dehlī meñ haiñ
dar-haqīqat āj-kal ye shahr hai indar-prasth
vo hasīñ hūreñ vo sundar deviyāñ dehlī meñ haiñ
naġhma-ārā vādiyoñ meñ haiñ nujūm-o-mehr-o-māh
husn kī chhā.ī huī barnā.iyāñ dehlī meñ haiñ
aur inhīñ barnā.iyoñ ke saath ai ham-rāz-e-jāñ
kis qadar sahmī huī sī talḳhiyāñ dehlī meñ haiñ
aur inhīñ naġhmoñ ke saath ai mutrib-e-afsūñ-nigār
kis qadar sākit laboñ par hichkiyāñ dehlī meñ haiñ
āj-kal dehlī meñ kyā kyā hai na pūchh ai ham-nafas
choriyāñ haiñ rishvateñ haiñ pagḌiyāñ dehlī meñ haiñ
jo ba-zāhir but-shikan haiñ aur ba-bātin but-tarāsh
ḳhūbī-e-taqdīr se vo mehrbāñ dehlī meñ haiñ
ek doshīza kī qīmat ek roTī ho ga.ī
kis qadar ai dost anqā roTiyāñ dehlī meñ haiñ
koī kar saktā nahīñ firqa-parastoñ kī shanāḳht
ek do kyā Toliyoñ kī Toliyāñ dehlī meñ haiñ
bojh se jin ke pahāḌoñ ke laraz uThte haiñ dil
zindagī ke vo bhayānak imtihāñ dehlī meñ haiñ
jail ke tārīk kamroñ meñ jo rahte the kabhī
aaj bhī vo kāmiyāb-o-kāmrāñ dehlī meñ haiñ
koī suntā hī nahīñ ahl-e-mohabbat kī pukār
har taraf kuchh ajnabī sī boliyāñ dehlī meñ haiñ
ḳhuun ro haañ ḳhuun rotā hashr is adbār par
vo purāne taur ai dil ab kahāñ dehlī meñ haiñ