ai urūs-e-bamba.ī sad-haif pīroñ kā shikār
qāfile pīroñ ke baiThe haiñ qatār-andar-qatār
har galī kī moḌ par ik piir hai baiThā huā
pūchhtā hai jis se har ik zindagī kā rāsta
masjidoñ meñ but-kadoñ meñ aur mai-ḳhānoñ meñ piir
koh meñ gulzār meñ bastī meñ vīrānoñ meñ piir
jis taraf nazreñ uThīñ pīroñ kā ik sailāb hai
saikḌoñ pīroñ ke andar aadmī nāyāb hai
bamba.ī meñ ġham-gusār-e-zindagī miltā nahīñ
piir to milte haiñ lekin aadmī miltā nahīñ
piir vo jo race ke ghoḌoñ pe rakhte haiñ nazar
vahī nāzil hotī hai saTTe kī jin ke qalb par
ahmaqoñ ko aur bhī ullū banāne ke liye
aa.e haiñ duniyā meñ jo saTTā batāne ke liye
aap kī tauhīn hai gar kuchh bhī mehnat kījiye
ek biiḌī dījiye saTTe kā number lījiye
paar hai beḌā jo kar le koī pīroñ par yaqīñ
naukrī aulād paise kā koī dānda nahīñ
hoshiyār in rahzanoñ se ai urūs-e-bamba.ī
tere ruḳhsāroñ kī kam hone lagī hai raushnī
terī nasloñ meñ javāñ pīroñ kī bāteñ jā.eñgī
aql ke hote hue bhī rañg apnā lā.eñgī
zindagī kā rāsta is tarah mil saktā nahīñ
ġhuncha-e-ummīd in pīroñ se khil saktā nahīñ
chhoḌ de lillāh ab ye pīr-bāzī chhoḌ de
but-shikan fitrat hai terī in butoñ ko toḌ de
haif tujh ko zindagī kā rāsta miltā nahīñ
piir milte haiñ tujhe lekin ḳhudā miltā nahīñ