Izhaar Malihabadi

barsat ka mausam

Izhaar Malihabadi

ai hūr-e-jināñ jān-e-chaman rūh-e-nazāra
ai paikar-e-anvār-o-dil-āvez dil-ārā
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam

ai nāzish-e-kaunain sitam-kesh-o-sitam-gār
ai ḳhūnr-e-rag-e-abr-e-ravāñ jān-e-chaman-zār
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam

ye zulmat-e-shab aur ye garajte hue bādal
zulmat meñ mahakte hue taḳh.īl ke āñchal
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam

yaad aatī haiñ rah rah ke mujhe terī nigāheñ
vo reshmī āñchal meñ jhalaktī huī bāñheñ
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam

maiñ ne to ye chāhā ki tujhe dil se bhulā duuñ
siine se tire naqsh-e-mohabbat ko miTā duuñ
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam

maiñ apnī tamannāoñ se jazbāt se majbūr
aur tū hai udhar rasm-o-rivāyāt se majbūr
kaTtā nahīñ pardes meñ barsāt kā mausam
Top Urdushayar.com