tumhāre gaañv se jo rāsta nikaltā hai
maiñ baar baar usī rāste guzrā huuñ
har ek zarra yahāñ kā mirī nigāh meñ hai
tumhāre gaañv ke us rāste kā ek ik moḌ
mujhe sharīf se matlab na kuchh sunand se kaam
na us bhare hue bāzār se mujhe koī rabt
ye dekho baḌhne hī vaalī hai jaise gaañv kī shaam
ye jaise uThne hī vaalā hai gaañv kā bāzār
aur ab na jaane isī tarah aur kitnī baar
tumhāre gaañv us is rāste se guzrūñgā