Salahuddin Ayyub

eid manaun kaise

Salahuddin Ayyub

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1982
aaj maiñ eid manā.ūñ to manā.ūñ kaise
tujh ko siine se lagā.ūñ to lagā.ūñ kaise
eid-gāh ab to maiñ tanhā hī nikal jaatā huuñ
saath meñ tujh ko bhī lā.ūñ to maiñ lā.ūñ kaise
yaad aatā hai terā uñglī pakaḌ kar chalnā
un jharoñkoñ ko bhulā.ūñ to bhulā.ūñ kaise
tere ham-umroñ kī mahfil hī se to raunaq thī
mahfileñ ab vo sajā.ūñ to sajā.ūñ kaise
aaj bhī maañ ne pakā.ī haiñ siva.iyāñ mīThī
maiñ tujhe lā ke ḳhilā.uñ to ḳhilā.uñ kaise
chāñd to dekh liyā maiñ ne bahut saaf sā thā
apne chandā ko dikhā.ūñ to dikhā.ūñ kaise
saal ye biit gayā rāsta takte takte
sabr ab ḳhatm batā.ūñ to batā.ūñ kaise
mujh ko mālūm hai ma.asūm hai mazlūm hai tū
tujh ko insāf dilā.ūñ to dilā.ūñ kaise
Top Urdushayar.com