''nahīñ ye sūraj ke shahr kā aadmī nahīñ hai
ki ye to marne ke ba.ad fōtpath par paḌā hai
nuche-khuche ik varaq pe kuchh yuuñ likhā huā thā
''maiñ apnī duniya-e-fikr-o-fan taj ke aaj ban-bās meñ paḌā huuñ
zarūratoñ meñ ghirā huā huuñ
yahāñ ye tahrīr āñsuoñ se miTī huī thī aur is se aage
''ye shahr sūraj kā shahr hai is ke roz-o-shab kā pata nahīñ hai
na aaj tak vaqt aur tārīḳh kā mujhe ilm ho sakā hai
yahāñ pe jumle ajiib se the lahū ke dhabboñ se miT ga.e the