Amir Usmani

KHwab jo bikhar gae

Amir Usmani

1920-1975
jinheñ sahar nigal ga.ii, vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kii, sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
mujhe namak kī kaan meñ miThās kī talāsh hai
barahnagī ke shahr meñ libās kī talāsh hai
jo ruk sake to rok do ye sail rañg-o-nūr kā
mirī nazar ko chāhiye vahī charāġh duur kā
ye dhuup zard zard sī ye chāñdnī dhuāñ dhuāñ
ye tal.ateñ bujhī bujhī, ye daaġh daaġh kahkashāñ
ye talḳh talḳh rāhateñ, jarāhateñ liye hue
ye ḳhūñ-chakāñ latāfateñ kasāfateñ liye hue
jo marhaloñ meñ saath the vo manziloñ pe chhuT ga.e
jo raat meñ luTe na the vo dopahar meñ luT ga.e
ye kitne phuul TuuT kar bikhar ga.e ye kyā huā
ye kitne phuul shāḳhchoñ pe mar ga.e ye kyā huā
ḳhushā vo daur-e-be-ḳhudī ki justujū-e-yār thī
jo dard meñ surūr thā to be-kalī qarār thī
ḳhulūs-e-be-shu.ūr kī vo zūd-etabāriyāñ
vo shauq-e-sāda-lauh kī hasīn ḳhām-kāriyāñ
vo la.al o lab ke tazkire, vo zulf o ruḳh ke zamzame
vo kārobār-e-ārzū vo valvale, vo hamhame
na ishq bā-adab rahā, na husn meñ hayā rahī
havas kī dhūm-dhām hai, nagar nagar, galī galī
bahut dinoñ meñ rāsta harīm-e-nāz kā milā
magar harīm-e-nāz tak pahuñch ga.e to kyā milā
Top Urdushayar.com