Habib Jalib

zabta

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
ye zābta hai ki bātil ko mat kahūñ bātil
ye zābta hai ki girdāb ko kahūñ sāhil
ye zābta hai banūñ dast-o-bāzū-e-qātil
ye zābta hai dhḌaknā bhī chhoḌ de ye dil
ye zābta hai ki ġham ko na ġham kahā jaa.e
ye zābta hai sitam ko karam kahā jaa.e
bayāñ karūñ na kabhī apne dil kī hālat ko
na lā.ūñ lab pe kabhī shikva-o-shikāyat ko
kamāl-e-husn kahūñ aib ko jahālat ko
kabhī jagā.ūñ na soī huī adālat ko
ye zābta hai haqīqat ko ik fasāna kahūñ
ye zābta hai qafas ko hī āshiyāna kahūñ
ye zābta hai kahūñ dasht ko gulistāñ-zār
ḳhizāñ ke ruup ko likkhūñ faroġh-e-husn-e-bahār
har ek dushman-e-jāñ ko kahūñ maiñ hamdam-o-yār
jo kāTtī hai sar-e-haq vo chuum luuñ talvār
ḳhatā-o-jurm kahūñ apnī be-gunāhī ko
sahar kā nuur likhūñ raat kī siyāhī ko
jo miTne vaale haiñ un ke liye davām likhūñ
sanā yazīd kī aur shimr par salām likhūñ
jo Das rahā hai vatan ko na us kā naam likhūñ
samajh sakeñ na jise log vo kalām likhūñ
daroġh-goī ko sachchā.ī kā payām kahūñ
jo rāhzan hai use rahbar-e-avām kahūñ
mire junūñ ko na pahnā sakoge tum zanjīr
na ho sakegā kabhī tum se merā zehn asiir
jo dekhtā huuñ jo sach hai karūñgā vo tahrīr
matā-e-har-do-jahāñ bhī nahīñ bahā-e-zamīr
na de sakegī sahārā tumheñ koī tadbīr
fanā tumhārā muqaddar baqā mirī taqdīr
Top Urdushayar.com