Habib Jalib

jawan aag

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
goliyoñ se ye javāñ aag na bujh pā.egī
gas pheñkoge to kuchh aur bhī lahrā.egī
ye javāñ aag jo har shahr meñ jaag uTThī hai
tīrgī dekh ke is aag ko bhaag uTThī hai
kab talak is se bachāoge tum apne dāmāñ
ye javāñ aag jalā degī tumhāre aivāñ
ye javāñ ḳhuun bahāyā hai jo tum ne aksar
ye javāñ ḳhuun nikal aayā hai ban ke lashkar
ye javāñ ḳhuun siyah-rāt kā rahne degā
dukh meñ Duube hue hālāt na rahne degā
ye javāñ ḳhuun hai mahloñ pe lapaktā tūfāñ
us kī yalġhār se har ahl-e-sitam hai larzāñ
ye javāñ fikr tumheñ ḳhuun na piine degī
ġhāsibo ab na tumheñ chain se jiine degī
qātilo raah se haT jaao ki ham aate haiñ
apne hāthoñ meñ liye surḳh alam aate haiñ
toḌ degī ye javāñ fikr hisār-e-zindāñ
jaag uTThe haiñ mire des ke bekas insāñ
Top Urdushayar.com