bachchoñ pe chalī golī
maañ dekh ke ye bolī
maiñ duur khaḌī dekhūñ
aur ahl-e-sitam kheleñ
ye dil ke mire TukḌe
yuuñ ro.eñ mire hote
maidāñ meñ nikal aa.ī
ik barq sī lahrā.ī
har zulm huā bātil
aur sahm ga.e qātil
us ne kahā ḳhūñ-ḳhvāro!
daulat ke parastāro
jāgīr na tum jaano
is zulm se baaz aao