kahāñ TuuTī haiñ zanjīreñ hamārī
kahāñ badlī haiñ taqrīreñ hamārī
vatan thā zehn meñ zindāñ nahīñ thā
chaman ḳhvāboñ kā yuuñ vīrāñ nahīñ thā
bahāroñ ne diye vo daaġh ham ko
nazar aatā hai maqtal baaġh ham ko
gharoñ ko chhoḌ kar jab ham chale the
hamāre dil meñ kyā kyā valvale the
ye sochā thā hamārā raaj hogā
sar-e-mehnat-kashāñ par taaj hogā
na lūTegā koī mehnat kisī kī
milegī sab ko daulat zindagī kī
na chāteñgī hamārā ḳhuuñ mashīneñ
baneñgī rashk-e-jannat ye zamīneñ
koī gauhar koī aadam na hogā
kisī ko rahzanoñ kā ġham na hogā
luTī har-gām par ummīd apnī
moharram ban ga.ī har iid apnī
musallat hai saroñ par raat ab tak
vahī hai sūrat-e-hālāt ab tak