diip jis kā mahallāt hī meñ jale
chand logoñ kī ḳhushiyoñ ko le kar chale
maiñ bhī ḳhā.if nahīñ taḳhta-e-dār se
maiñ bhī mansūr huuñ kah do aġhyār se
phuul shāḳhoñ pe khilne lage tum kaho
jaam rindoñ ko milne lage tum kaho
tum ne luuTā hai sadiyoñ hamārā sukūñ
ab na ham par chalegā tumhārā fusūñ