Habib Jalib

shahr-e-zulmat ko sabaat nahin

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
ai nizām-e-kohan ke farzando
ai shab-e-tār ke jigar-bando
ye shab-e-tār jāvedāñ to nahīñ
ye shab-e-tār jaane vaalī hai
tā-ba-kai tīrgī ke afsāne
sub.h-e-nau muskurāne vaalī hai
ai shab-e-tār ke jigar-gosho
ai sahr-dushmano sitam-gosho
sub.h kā āftāb chamkegā
TuuT jā.egā jahl kā jaadū
phail jā.egī in dayāroñ meñ
ilm-o-dānish kī raushnī har-sū
ai shab-e-tār ke nigahbāno
sham-e-ahd-e-ziyāñ ke parvāno
shahr-e-zulmāt ke sanā-ḳhvāno
shahr-e-zulmāt ko sabāt nahīñ
aur kuchh der sub.h par hañs lo
aur kuchh der koī baat nahīñ
Top Urdushayar.com