Ibn e Insha

ye baaten jhuTi baaten hain

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
ye bāteñ jhūTī bāteñ haiñ ye logoñ ne phailā.ī haiñ
tum 'inshā'-jī kā naam na lo kyā 'inshā'-jī saudā.ī haiñ
haiñ lākhoñ rog zamāne meñ kyuuñ ishq hai rusvā be-chārā
haiñ aur bhī vaj.heñ vahshat kī insān ko rakhtīñ dukhiyārā
ye baat ajiib sunāte ho vo duniyā se be-ās hue
ik naam sunā aur ġhash khāyā ik zikr pe aap udaas hue
gar ishq kiyā hai tab kyā hai kyuuñ shaad nahīñ ābād nahīñ
jo jaan liye bin Tal na sake ye aisī bhī uftād nahīñ
vo laḌkī achchhī laḌkī hai tum naam na lo ham jaan ga.e
vo jis ke lambe gesū haiñ pahchān ga.e pahchān ga.e
jo ham se kaho ham karte haiñ kyā 'inshā' ko samjhānā hai
us laḌkī se bhī kah leñge go ab kuchh aur zamānā hai
Top Urdushayar.com