Ibn e Insha

farz karo

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
farz karo ham ahl-e-vafā hoñ, farz karo dīvāne hoñ
farz karo ye donoñ bāteñ jhūTī hoñ afsāne hoñ
farz karo ye jī kī biptā jī se joḌ sunā.ī ho
farz karo abhī aur ho itnī aadhī ham ne chhupā.ī ho
farz karo tumheñ ḳhush karne ke DhūñDhe ham ne bahāne hoñ
farz karo ye nain tumhāre sach-much ke mai-ḳhāne hoñ
farz karo ye rog ho jhūTā jhūTī piit hamārī ho
farz karo is piit ke rog meñ saañs bhī ham par bhārī ho
farz karo ye jog ba-jog kā ham ne Dhoñg rachāyā ho
farz karo bas yahī haqīqat baaqī sab kuchh maayā ho
dekh mirī jaañ kah ga.e baahū kaun diloñ kī jaane 'huu'
bastī bastī sahrā sahrā lākhoñ kareñ divāne 'huu'
jogī bhī jo nagar nagar meñ maare maare phirte haiñ
kaasa liye bhabūt ramā.e sab ke dvāre phirte haiñ
shā.ir bhī jo mīThī baanī bol ke man ko harte haiñ
banjāre jo ūñche dāmoñ jī ke saude karte haiñ
in meñ sachche motī bhī haiñ, in meñ kañkar patthar bhī
in meñ uthle paanī bhī haiñ, in meñ gahre sāgar bhī
gorī dekh ke aage baḌhnā sab kā jhūTā sachchā 'huu'
Dūbne vaalī Duub ga.ī vo ghaḌā thā jis kā kachchā 'huu'
Top Urdushayar.com