Ibn e Insha

lab par nam kisi ka bhi ho

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
lab par naam kisī kā bhī ho, dil meñ terā naqshā hai
ai tasvīr banāne vaalī jab se tujh ko dekhā hai
be-tere kyā vahshat ham ko, tujh bin kaisā sabr o sukūñ
tū hī apnā shahr hai jaanī tū hī apnā sahrā hai
niile parbat uudī dhartī, chāroñ kuuT meñ tū hī tū
tujh se apne jī kī ḳhalvat tujh se man kā melā hai
aaj to ham bikne ko aa.e, aaj hamāre daam lagā
yūsuf to bāzār-e-vafā meñ, ek Tike ko biktā hai
le jaanī ab apne man ke pairāhan kī girheñ khol
le jaanī ab aadhī shab hai, chaar taraf sannāTā hai
tūfānoñ kī baat nahīñ hai, tūfāñ aate jaate haiñ
tū ik narm havā kā jhoñkā, dil ke baaġh meñ Thahrā hai
yā tū aaj hameñ apnā le, yā tū aaj hamārā ban
dekh ki vaqt guzartā jaa.e kaun abad tak jiitā hai
fardā mahz fusūñ kā pardā, ham to aaj ke bande haiñ
hijr o vasl, vafā aur dhokā sab kuchh aaj pe rakkhā hai
Top Urdushayar.com