sab maayā hai, sab Dhaltī phirtī chhāyā hai
is ishq meñ ham ne jo khoyā jo paayā hai
haañ gaahe gaahe diid kī daulat haath aa.ī
yā ek vo lazzat naam hai jis kā rusvā.ī
ma.alūm hameñ sab qais miyāñ kā qissa bhī
sab ek se haiñ, ye rāñjhā bhī ye 'inshā' bhī
kyuuñ dard ke naame likhte likhte raat karo
jis saat samundar paar kī naar kī baat karo
jis gorī par ham ek ġhazal har shaam likheñ
tum jānte ho ham kyūñkar us kā naam likheñ
vo laḌkī bhī jo chāñd-nagar kī raanī thī
vo jis kī alhaḌ āñkhoñ meñ hairānī thī
jo log abhī tak naam vafā kā lete haiñ
vo jaan ke dhoke khāte, dhoke dete haiñ
jab dekh liyā har shaḳhs yahāñ harjā.ī hai
is shahr se duur ik kuTiyā ham ne banā.ī hai