is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
ik naar pe jaan ko haar gayā mash.hūr hai us kā afsānā
us naar meñ aisā ruup na thā jis ruup se din kī dhuup dabe
is shahr meñ kyā kyā gorī hai mahtāb-ruḳhe gulnār-labe
nā chanchal khel javānī ke nā pyaar kī alhaḌ ghāteñ thiiñ
bas raah meñ un kā milnā thā yā phone pe un kī bāteñ thiiñ
ik roz magar barkhā-rut meñ vo bhādoñ thī yā sāvan thā
dīvār pe biich samundar ke ye dekhne vāloñ ne dekhā
haañ umr kā saath nibhāne ke the ahd bahut paimān bahut
vo jin pe bharosa karne meñ kuchh suud nahīñ nuqsān bahut
har baat kī khoj to Thiik nahīñ tum ham ko kahānī kahne do
us naar kā naam maqām hai kyā is baat pe pardā rahne do