Ibn e Insha

dil-ashob

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
yuuñ kahne ko rāheñ mulk-e-vafā kī ujaal gayā
ik dhund milī jis raah meñ paik-e-ḳhayāl gayā
ham shahr meñ Thahreñ, aisā to jī kā rog nahīñ
aur ban bhī haiñ suune un meñ bhī ham se log nahīñ
tire lutf-o-atā kī dhuum sahī mahfil mahfil
ik shaḳhs thā inshā nām-e-mohabbat meñ kāmil
tirī chaah meñ dekhā ham ne ba-hāl-e-ḳharāb ise
par ishq o vafā ke yaad rahe ādāb ise
ik saal gayā, ik saal nayā hai aane ko
par vaqt kī bhī ab hosh nahīñ dīvāne ko
ham ahl-e-vafā ranjūr sahī, majbūr nahīñ
aur shahr-e-vafā se dasht-e-junūñ kuchh duur nahīñ
ab husn ke gaḌ.h aur shahr-panāheñ suunī haiñ
vo jo āshnā the un sab kī nigāheñ suunī haiñ
Top Urdushayar.com