Ibn e Insha

kuchh de ise ruKHsat kar

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
kuchh de ise ruḳhsat kar kyuuñ aañkh jhukā lī hai
haañ dar pe tire maulā! 'inshā' bhī savālī hai
is baat pe kyuuñ is kī itnā bhī hijāb aa.e
fariyād se be-bahra kashkol se ḳhālī hai
shā.er hai to adnā hai, āshiq hai to rusvā hai
kis baat meñ achchhā hai kis vasf meñ aalī hai
kis diin kā murshid hai, kis kesh kā mojid hai
kis shahr kā shahna hai kis des kā vaalī hai?
tāzīm ko uThte haiñ is vāste dil vaale
hazrat ne mashīḳhat kī ik tarah nikālī hai
āvāra o sargardāñ kafanī-ba-gulū-pechāñ
dāmāñ bhī durīda hai gudḌī bhī sambhālī hai
āvāra hai rāhoñ meñ, duniyā kī nigāhoñ meñ
izzat bhī miTā lī hai tamkīñ bhī gañvā lī hai
ādāb se begāna, dar aayā hai dīvāna
ne haath meñ tohfa hai, ne saath meñ Daalī hai
baḳhshish meñ ta.ammul hai aur aañkh jhukā lī hai
kuchh dar pe tire maulā, ye baat nirālī hai
Top Urdushayar.com