Rifat Sarosh

najm-e-sahar

Rifat Sarosh

Bijnor, Uttar pradesh, India

1926
vaqt-e-sahar, ḳhāmosh dhuñdlakā naach rahā hai sehn-e-jahāñ meñ
tābinda, pur-nūr sitāre, jagmag jagmag karte karte
lekin ik bā-himmat taarā ab bhī āñkheñ khol rahā hai
ab bhī jahāñ ko dekh rahā hai apnī mastāna nazroñ se
vaqt-e-sahr, ḳhāmosh dhuñdlakā ek sitāra kaañp rahā hai
jaise koī bosīda kashtī tūfānoñ meñ Dol rahī ho
vaqt-e-sahar ḳhāmosh dhuñdlakā ek sitāra kaañp rahā hai
ruḳh par jis ke khel rahā hai ab bhī tabassum halkā halkā
Top Urdushayar.com