Khursheed Akbar

wahi bu-e-gul hai

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
koī jazba hai na koī ehsās
ab to vo hai bhī nahīñ mere paas
jaise vo thā hī nahīñ mere paas
jaise vo thā hī nahīñ koī savāl
jaise vo thā hī nahīñ raat kī niiñd
jaise vo thā hī nahīñ merā ḳhvāb
jaise vo thā hī nahīñ merā ḳhumār
jaise vo thā hī nahīñ sub.h kā nuur
jaise vo thā hī nahīñ merī murād
jaise vo thā hī nahīñ lams-e-hayāt
jaise vo thā hī nahīñ phir bhī use
vaqt kyuuñ yaad kiyā kartā hai
jism ke phuul meñ ehsās kī ḳhushbū hai yaad
hijr kī raat meñ ummīd kā jugnū hai yaad
ishq ābād fanā-e-kul hai
gul kā hāsil vahī bū-e-gul hai
Top Urdushayar.com