Musavvir Sabzwari

pahla patthar

Musavvir Sabzwari

Sambhal, Uttar pradesh, India

1932-2002
maiñ tire shahar meñ phirtā hī rahā sargardāñ
shāh-rāhoñ ke har ik moḌ pe hairāñ hairāñ
isī ummīd pe shāyad ki koī pahchāne
justujū ek bagūle ke anāsir chhāne
lekin is shahr-e-sitam-pesha meñ kuchh bhī na huā
mirī jānib koī gul-posh darīcha na khulā
na koī dast-e-sabā thā na kahīñ bū-e-habīb
bām-dar-bām thī be-mehr nigāhoñ kī salīb
sail-e-vahshat ko chhupā.e meñ guzartā hī rahā
ek be-rabt fasāna thā bikhartā hī rahā
āḳhir ik ku-e-malāmat meñ qadam aa pahuñche
nāvak andāzoñ ke andāz meñ ġham aa pahuñche
pheñk kar chashm-e-farāmosh kā pahlā patthar
tū ne bas ġhurfa-e-ummīd se dekhā chhup kar
sañg uThte hī rahe haath lapakte hī rahe
aañkh rotī hī rahī sharm-e-shanāsā.ī ko
Top Urdushayar.com