Sahir Hoshiyarpuri

nai subh

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
ye chaman-zār ye ḳhush-rañg bahāroñ kā jahāñ
zindagī kitnī dil-āvez-o-dil-ārā hai yahāñ
champa.ī dhuup meñ har zarra hai sūraj kī kiran
chāñdnī raat meñ har phuul hai raushan raushan
nuur hī nuur zamīñ se hai falak tak raqsāñ
zindagī kitnī dil-āvez-o-dil-ārā hai yahāñ
vādī-e-gañg-o-jaman jannat-e-nazāra hai
sar-zamīñ apnī zar-o-sīm kā gahvāra hai
apne dariyāoñ kī har mauj meñ bijlī hai ravāñ
zindagī kitnī dil-āvez-o-dil-ārā hai yahāñ
valvale dil meñ to āñkhoñ meñ umañgeñ raushan
haiñ sabhī chehre yahāñ husn-e-amal ke darpan
azmat mehnat-o-īsār jabīnoñ se ayaañ
zindagī kitnī dil-āvez-o-dil-ārā hai yahāñ
āshtī amn mohabbat ke parastār sabhī
jazba-e-mehr-o-mohabbat se haiñ sarshār sabhī
sājhe tyauhār haiñ holī ho ki īd-e-qurbāñ
zindagī kitnī dil-āvez-o-dil-ārā hai yahāñ
tarjumān-e-dil-e-jamhūr adīb-o-fankār
in ke afkār tavānā haiñ taḳhayyul bedār
nikhrā nikhrā na.ī saj-dhaj kā hai andāz-e-bayāñ
zindagī kitnī dil-āvez-o-dil-ārā hai yahāñ
Top Urdushayar.com