be-navā haiñ ki tujhe saut-o-navā bhī dī hai
jis ne dil toḌ diye us ko duā bhī dī hai
vo jo tūfāñ ko safīna kabhī sāhil samjhe
yūrish-e-qatra-e-shabnam se ḳhafā kyā hoñge
ek baar aur hisāb-e-dil-o-dildār karo
naqd-e-jāñ nazr huī jins-e-yaqīñ le ke chalo
hajla-e-nāz se aate haiñ bulāve ab ke
āḳhirī baar chalo āḳhirī dīdār karo