uḳhuvvat ke parastāroñ kī ik rañgīn duniyā thī
harīm-e-nūr-o-naġhma bazm-e-nāhīd-o-surayyā thī
vo duniyā sham-e-āzādī ke parvānoñ kī bastī thī
jahāñ fitrat sañvartī thī jahāñ mastī barastī thī
vo duniyā zindagī ke phuul barsātī huī duniyā
mulā.em nuzhatoñ kī raqs farmātī huī duniyā
jahāñ ik saañs bhī lene se ghabrāte the hañgāme
jalāl-e-be-amāñ se Dar ke so jaate the hañgāme
vo duniyā rashk-e-firdaus-e-barīñ ma.alūm hotī thī
ḳhudā kā shāhkār-e-behtarīñ ma.alūm hotī thī
jahāñ ishq-o-junūñ husn-o-vafā kī rājdhānī thī
mohabbat masnad-ārā thī mohabbat pur-javānī thī
jahāñ īsār-o-ḳhuddārī ke parcham lahlahāte the
jahāñ ma.asūm bachche maut se āñkheñ laḌāte the
musalsal bāda-e-asūdagī ke daur chalte the
lahū se parvarish paa.e hue armāñ nikalte the
adū jis kā ḳharāb-e-ġham shikār-e-nā-murādī thā
har ik sāhil-nashīñ jāñ-soz tūfānoñ kā aadī thā
vahī gulshan ab ik vīrāna-e-ābad hai goyā
ġhilāf-e-sāz meñ lipTī huī fariyād hai goyā
abhī qile kī dīvāroñ meñ vo anvār baaqī haiñ
tire zauq-e-tapish ke muzmahil āsār baaqī haiñ
ye dīvāreñ tirī jur.at kā afsāna sunātī haiñ
hanūz us meñ himāla kī adā.eñ paa.ī jaatī haiñ
hanūz in sarfaroshoñ ke tarāne haiñ fazāoñ meñ
tirī āvāz-e-pā mahfūz hai ab tak havāoñ meñ
dil-e-vīrāñ ko muddat se hai terā intizār aa jā
ḳhudārā ai bahādur inqilābī shahsavār aa jā