ek bosīda havelī yaanī farsūda samāj
le rahī hai naza.a ke aalam meñ murdoñ se ḳhirāj
ik musalsal gard meñ Duube hue sab bām-o-dar
jis taraf dekho añdherā jis taraf dekho khañDar
maar o kajdum ke Thikāne jis kī dīvāroñ ke chaak
uf ye raḳhne kis qadar tārīk kitne haul-nāk
jin meñ rahte haiñ mahājan jin meñ baste haiñ amiir
jin meñ kāshī ke barhaman jin meñ ka.abe ke faqīr
rahzanoñ kā qasr-e-shūrā qātiloñ kī ḳhvāb-gāh
khilkhilāte haiñ jarā.em jagmagāte haiñ gunāh
jis jagah kaTtā hai sar insāf kā īmān kā
roz o shab nīlām hotā hai jahāñ insān kā
ziist ko dars-e-ajal detī hai jis kī bārgāh
qahqaha ban kar nikaltī hai jahāñ har ek aah
sīm-o-zar kā devtā jis jā kabhī sotā nahīñ
zindagī kā bhuul kar jis jā guzar hotā nahīñ
hañs rahā hai zindagī par is tarah maazī kā haal
ḳhanda-zan ho jis tarah ismat pe qahba kā jamāl
ek jānib haiñ vahīñ in be-navāoñ ke giroh
haañ inhīñ be-nān o be-poshish gadāoñ ke giroh
jin ke dil kuchle hue jin kī tamannā pā.emāl
jhāñktā hai jin kī āñkhoñ se jahannam kā jalāl
ai ḳhudā-e-do-jahāñ ai vo jo har ik dil meñ hai
dekh tere haath kā shahkār kis manzil meñ hai
jāntā huuñ maut kā ham-sāz o hamdam kaun hai
kaun hai parvardigār-e-bazm-e-mātam kaun hai
koḌh ke dhabbe chhupā saktā nahīñ malbūs-e-dīñ
bhuuk ke shole bujh saktā nahīñ rūh-ul-amīñ
ai javāñ-sāl-e-jahāñ jān-e-jahān-e-zindagī
sārbān-e-zindagī rūh-e-ravān-e-zindagī!
jis ke ḳhūn-e-garam se bazm-e-charāġhāñ zindagī
jis ke firdausī tanaffus se gulistāñ zindagī
bijliyāñ jis kī kanīzeñ zalzale jis ke safīr
jis kā dil ḳhaibar-shikan jis kī nazar arjun kā tiir
haañ vo naġhma chheḌ jis se muskurā.e zindagī
to bajā-e-sāz-e-ulfat aur gaa.e zindagī
aa inhīñ khañDaroñ pe āzādī kā parcham khol deñ
aa inhīñ khañDaroñ pe āzādī kā parcham khol deñ