arsh kī aaḌ meñ insān bahut khel chukā
ḳhūn-e-insān se haivān bahut khel chukā
zulmat-e-kufr ko īmān nahīñ kahte haiñ
sag-e-ḳhūñ-ḳhār ko insān nahīñ kahte haiñ
jaan lo qahr kā sailāb kise kahte haiñ
nā-gahāñ maut kā girdāb kise kahte haiñ
nāla-e-be-asar allāh ke bandoñ ke liye
sila-e-dār-o-rasan haq ke rasūloñ ke liye
zalzaloñ aao dahakte hue laao aao
bijlio aao garaj-dār ghatāo aao