ai jān-e-naġhma jahāñ sogvār kab se hai
tire liye ye zamīñ be-qarār kab se hai
na tābnākī-e-ruḳh hai na kākuloñ kā hujūm
hai zarra zarra pareshāñ kalī kalī maġhmūm
ruḳh-e-hayāt pe kākul kī barhamī hī nahīñ
nigār-e-dahr meñ andāz-e-maryamī hī nahīñ
hayāt-baḳhsh tarāne asiir haiñ kab se
gulū-e-zehra meñ paivast tiir haiñ kab se hai
haram ke dosh pe uqbā kā daam hai ab tak
saroñ meñ diin kā saudā-e-ḳhām hai ab tak
abhī dimāġh pe qahbā-e-sīm-o-zar hai savār
abhī rukī hī nahīñ tesha-zan ke ḳhuun kī dhaar