Makhdoom Mohiuddin

jang

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
nikle dahān-e-top se barbādiyoñ ke raag
bāġh-e-jahāñ meñ phail ga.ī dozaḳhoñ kī aag
kyuuñ TimTimā rahī hai ye phir sham-e-zindagī
phir kyuuñ nigār-e-haq pe haiñ āsār-e-beogī
ifrīt-e-sīm-o-zar ke kaleje meñ kyuuñ hai phāñs
kyuuñ ruk rahī hai siine meñ tahzīb-e-nau kī saañs
amn-o-amāñ kī nabz chhuTTī jā rahī hai kyūñ?
bālīn-e-zīst aaj ajal gā rahī hai kyūñ?
ab dilhanoñ se chhīn liyā jā.egā suhāg
ab apne āñsuoñ se bujhā.eñ vo dil kī aag
barbat-navāz bazm-e-ulū idhar to aa
dāvat-dah-e-payām-e-ubūdī idhar to aa
insāniyat ke ḳhuun kī arzāniyāñ to dekh
is kī āsmān vaale kī be-dādiyāñ to dekh
ma.asūma-e-hayāt kī bechārgī to dekh
dast havas se husn kī ġhārat-garī to dekh
ḳhud apnī zindagī pe pashīmāñ hai zindagī
qurbān-gāh-e-maut pe raqsāñ hai zindagī
insān rah sake koī aisā jahāñ bhī hai
is fitna-zā zamīñ kā koī pāsbāñ bhī hai
o āftāb-e-rahmat-e-daurāñ tulū ho
o anjum-e-hamīyat-e-yazdāñ tulū ho
Top Urdushayar.com