Makhdoom Mohiuddin

bhag-mati

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
pyaar se aañkh bhar aatī hai kañval khilte haiñ
jab kabhī lab pe tirā nām-e-vafā aatā hai
dasht kī raat meñ bārāt yahīñ se niklī
raag kī rañg kī barsāt yahīñ se niklī
dhan kī ghanghor ghaTā.eñ haiñ na hun ke bādal
sone chāñdī ke galī-kūche na hīroñ ke mahal
shahr baaqī hai mohabbat kā nishāñ baaqī hai
dilbarī baaqī hai dil-dāri-e-jāñ baaqī hai
Top Urdushayar.com